Madira meiN jaane ko ghar se chaltaa hai peenewaala
kis path se jaaooN asmanjas meiN hai wo bhola bhaala
alag alag pathu batalaathi sab paR maiN ye bataata hooN
raah pakaD tu ek chalaa-chal paa jaayega MADHUSHALA
Ek baras meiN ek baar hee jagti holi kee jwaala
ek baar hee lagti baaji jalti deepoN kee maala
duniya waaloN kintu kisi din aa madiraalay meiN dekho
din meiN holi raat diwaali roz manaati MADHUSHALA
Naam agar pooche koi to kehna bas peene-waala
kaam garal na aur dhaalna sab ke madiroN ka pyaala
jaati priYe pooche yadi koi keh dena deewanoN kee
dharM batana pyaaloN ki le maala japna MADHUSHALA
ChoTe se jeewaN meiN kitna pyaar karooN peelooN haala
Aane ke hee saath jagat meiN kehlaaya jaane-waala
Swaagat ke hee saath wida ki hothi dekhi tayyaari
Band lagi hone khulte hee meri jeewan MADHUSHALA...!!!




